gads

Sunday 31 March 2013

 Meri rooh ko dey sakoon aa itny kareeb tou
basa dey apni khushboo meri sansoo ma tou
ya phir basa ley khud ma mujh ko tou
ajj merny ka irada ha bacha ley mujhko tou
     


 

sookh jata ha meri ankhoo ka pani her rat teri yad ma
sochty ha shayad ki ho gi koi khata hum ney............<3




yeh mery dill ki dua ha ya khuda sun ley 
sari duniya sey chupa ker usy mer ker dey



her lamha mujey kamzoor kerta ha 
phir sochti hou tujhy bhool jao 
na jany q tery purani baty yad ker k
phir tout jati hou kamzoor ho jati hou ma




yeh din khatam ho sakta ha 
tumhy dekhey bina
tum sey bat keay bina
per khatam nahi ho sakta tumhy yaad keay bina



kuch toh asi bat ha tujh ma 
verna tujhy chahny ki khata bar bar na kary


kay karo ma uski yadoo ney gheyr rakha ha
koi bachny ka rasta ho toh bat dou .........





 her sham uski bahoou ma guzry
payar ki woh her had bhool jay
dekhy mujhy or doob jay ankhoo mey
phir mukara k bol dey tum meri hou sirf meri



yeh chand or sitary kon kehta ha yeh qeemati ha
log toh yeh bhi tor latey ha kisi apny ki khatir 
hum tou tujhy in sey bhi zayda qeemati samajhty ha
jis ko koi tor na saky jis ko koi choo na saky





Wednesday 27 March 2013












ma kaya chahti hoon



aj esa mosam q ha kaya dill chahta ha
koi pass ho 
jiss k kandhey per sir rakh  rona chahta ha
koi hoo jo payar sey ansoo saf kery
aj q dill pareyshan ha
q mera dill aj beybass ha
kaya kisi ki judai ma zindgi guzar nahi sakti 
q kisi ko toot k chahta ha dill q chahta ha koi pass ho
apni bahoon mey ley  or phir poochy 
bata aj kaya tera dill chahta ha

Tuesday 26 March 2013

aa bhi ja abhi lout ao abhi waqt ha
tumhy maloom ha tum zindgi ho 
tum meri jan ho sans ho zarorat ho
ab azmany ki zid chor dey lout aa


apny payar ko kaya namm doo
apni chahat ko kaya bolo
is dill mey dard nahi yadeen ha us ki
or yeh yadeen hi dard ban gai usy ilzam kaya doo



na kaha karo k hum chor dey gey tumhy
naa hi tery bass ma ha na hi tery dill ky



kabhi kisi sey payar na kerna
ho jay agar inkar na kerna
agar nibha na sakoo isko 
toh door hi rehna is sy



na chaho kisi ko is tarha k woh mar bhi na saky
chah k na choro is tarha k woh jee na saky



humy maloom ha zamany ka woh toh badal jata ha
per ey mery hamsafar tum na badal jana 



rotey ha dill k zakham toh koi hansta nahi
itna toh faida ha hamy apni tanhai ka


woh na jan saky hum q khamosh thay
bolty kuch toh hum khud hi toot jaty


tum bhi na mily or umer bhi esy hi guzar gai
tujh sey toh ishq tha per zindgi sey khafa thay



youn na choro mera sath is tarharastey ma
tery sahary hi hum zinda ha ooh mery yar



Friday 22 March 2013

uski ankhoo ma dekha tha payar ma ney
uski batoo ma chahat dekhi thi ma ney
woh ho gaya bewaffa kuch is tarha
k zinda rehny ki khawahish chor di ma ney



aa jao ab nahi guzarti sahm e tanhai
teri muntazir ha meri ankhy



ab tu ker dey izhar apni chahat ka
aa jao pass mery kuch is tarha
kho jao payar ma is tarha 
k na tum dor jao or na hi ma



pass ajao meri yeh tamanna ha
payar itna do k ma sambhal na sakoo

Tuesday 19 March 2013

us ney dill manga or hum ney dey deya
us ney payar manga or hum ney deya
najany kaya bat hoi jab hum ney manga
toh zindgi ney sath chor deya



na tarpa hamy is qadar
na ley payar ka imteehan
yeh waqt na guzar jay 
ker ley khud ko beqarar


meri her sans ma toh ha 
meri her bat ma toh ha
mery dill ki dharkan may tu ha
mery her khayal ma toh  ha
mery jism meri rooh ma toh ha
meri sch ma toh ha 
bata tera irada kaya ha


ma usko chahti rahi is tarha 
na chahay koi usy meri tarha
us ney chahat ki had na dekhi
or chala gaya jism sey rooh ki tarha


socha na tha kabhi asy rona bhi hoga
jis sey jan sey bhi zayda payar hoga
usi payar sey dor jana hoga
ay zindgi ab tujhy zindgi chor k jana hoga



kaya mila tujhy is tarha 
q nahi chahta tu mujey meri tarha
chahat toh hoti ha zindgi ki tarha 
per meri chahat ha jism mai rooh ki tarha



hoti hai her shaam udaas 
chahti hou tujhey apny pass
na ker asy tou mery sath
chor jao gi duniya toh bolo gey
kash woh hoti mery sath

Monday 18 March 2013





Chahat
kaya ha yeh chahat 
kisi ko toot k chahna 
kisi k leay toot jana
kisi ki khatar roona
yah kisi ko rulana
uski yadoo ma khoay rehna
usko payar kerna 
uski khatir duniya ko na dekhna
uski her bat sunna 
uski batoo per muskurana 
usko sochna dekhna 
us may hi kho jana
kaya ha yeh chahat 
   

Saturday 16 March 2013

Na jany kaya kashish ha uski madhosh nigahoo ma
nazar andaz jitna karo nazar usi per perti ha





shararat ley k ankhoo mai u us ka dekhna touba
ma nazroo per jami nazrey jhukana bhol jati ho



kitni ajeeb ha mery ander ki tanhai bhi
hazaroo apney ha magar yad tum hi aty ho




roye ga meri wafaon ko yad ker k woh shakhs
 jab dill kisi or sey lagay ga



kon kisi ka akhri waqt tak sahara banty ha
log toh janazy ma b kandha badlty ha



jazbatook khel ma muhabbat k saboot na mango mery sey
mai ney woh ansoo b bahaaye ha jo meri ankhoo ma na they


ak tumhi they jiss sey chalti thi meri sansey 
k ab lout aao zindgi sey or wafa nahi ki jati




ay dill na keya ker apney dard e dill ko shayri mai bayan

log or toot jatey ha her lafz ko apni dastaa samjh ker





nahi guzarti ab meri shaam tery beghayr
lout aa ab toh parindy bhi chaly apny ghar




woh muhabbat muhabbat keh ker muhabbat toh sikha gaya
per us ney khud muhabbat nibhana na sekha




chal is tara muhabbat kary k duniya yad rakhy 
k log muhabbat kary toh duniya ko na yad rakhy



woh kehta toh ha k tujhy payar kerta ho meri arzoo
per na jany q kisi cheez sey darta ha woh 



socha tha jee lou gi uski yad sey 
per yeh dill jo sunta nahi meri
sun k awaz us ki ho jati ha dharkan teaz
or ma nam leny sey darti ho
  


chaho kisi ko toh is qadar chaho 
k woh chahat bhol jay
verna nadan logo 
tum dor hi raho chahat sey  





ab milo gey toh khoob rulao gi tumhey 
suna ha rotey hovey lipat jany ki adat ha tumhey



na jany konsi mulaqat akhri ho
na jany konsi bat akhri ho
sub ko yad ker k sotey ha hum 
na jany konsi rat akhri ho



meri muhabbat sirf tery tak mehdood nahi
tery sath jannat pany ki ha 




ishq ki kitaby per per  k khud ko ashique na samjho 
ashique banna ha toh toh kitaboo sey bahir niklo



samajh nahi ati ab dill ka kaya ho ga 
samjhta dill nahi woh nahi ma bhi nahi



shikayat ha un ki hamy muhabbat kerni nahi ati
shikwa hamy bhi ha hamy muhabbat ha per batana  nahi ata



 usy is qadar meri muhabbat mai dewana ker dey ay khuda
k usy nend bhi na ay meri yad k beghair



yeh ankhay kisi or ko dekhny ko razi nahi
bohat dekha tujhy meri nazroo nay



toota nahi teri batoo ka rishta mery dill sey
guftugoo kisi sey bhi ho khayal tera hi ata ha



chor gaya woh kuch is tarha
na toot k roo saktey ha na kisi ko bata saktey ha


choo liya tu ney aj is tarha k bhul gai ma yeh duniya
utar gai tery jism may rooh ki tarha


tu bhul gaya apna wada toh kaya howa
bhul jana bhi teri chahat ka hissa hoga
yeh soch k muhabbat barh gai meri
ankhy toh mery sath hi ha 
ankhoo ka noor chala gaya toh kaya howa

    
 

Friday 15 March 2013

Poetry For All



na soch is kitab ma kaya ha
kholy ga toh wahi gulabh ha

jisy chor deya tum ney esy hi
wahi ha jo khareyd k ley gaya koi

khayal khawab haqeeqat tanhai 
choti si zindgi ha kis kis key sath guzaro.






tujhy apna kehny ka haq ha ya ni
teri perwah kerny ka haq ha ya ni
bus itna bata dey mujy toh k mujey
tujh sey payar kerny ka haq ha ya ni








kisi or k nam ki mehndi apney hathoo ma na bharna 
thukra k muhabbat meri kisi or sey na kerna






kaya chahty ho aj bata doo mujhy 
kis cheez ka ha intazar bol doo mujey
sambhal jao gey bant k dard
kabhi yaqeen ker k hamraz toh banao mujey









kuch toh bat thi us ki batoo mey 
najany q mehsoos toh ki thi mai ney
per soch mai dooba raha ley k uski muskarahat ko
ankh kholi toh akeyla khara tha mey








na ker itni muhabbat kisi sey 
k woh seh na sakey 
bichar k  tujh sey 
woh  mar b na sakey









woh toh bhool gaya ha 
woh batey woh shararty
woh hasi woh mazaq
najany kaya ho gaya ha 
woh muhabbat mey esa ho gaya
ya muhabbat ko bhul gaya ha







ishq sey har k dill tham k q bethy ho
tum toh her bat per kehty they koi bat ni