gads

Thursday, 10 April 2014



محبت ہو چکی پوری

چلو اب زخم گنتے ہیں ۔

Sunday, 6 April 2014

Saturday, 5 April 2014

Ussey Main Q

btaoon Maine

Usko kitna chaha hai..?
Btaya jhoot jata

hai,

k sachi baat ki

khushbo to khud

Mehsoos hoti hai,

Meri baatein

Meri sochein

Ussey khud jaan

janey do,

Abhi kuch din

Ussey Meri

MUhabbat

Aazmaney do,
Agr Woh Ishq k Ehsaas ko

pehchaan na

paye,

MUjhe bhi jaan na

paye,

To phir aisa kro

aey Dil..!

Khud Gum-naam

ho jao,
Magr Uss

Be-khabar

ko Zindagi bhar MUskraney do..!

Wednesday, 2 April 2014

Usne Door Rehne Ka, Mashwara Bhi Likha Hai,
Sath Hi Mohabbat Ka, Wasta Bhi Likha Hai ... !
Usne Yeh Bhi Likha Hai, Mere Ghar Nahin Aana,
Saaf-saaf Lafzon Mein, Raasta Bhi Likha Hai ... !!
Kuchh Huroof Likhe Hain, Zabt Ki Naseehat Mein,
Kuchh Huroof Mein Uss Ne, Haunsla Bhi Likha Hai ... !!!
Shukria Bhi Likha Hai, Dil Se Yaad Karne Ka,
Dil Se Dil Ka Hai Kitna, Faasla Bhi Likha Hai ... !!!!
Kya Use Likhain Ae Dost, Kya Use Kahain Ae Dost,
Jisne Kar Ke Be-Jaan, Phir Jaan-e-Jaan Bhi Likha Hai ... !!!!!