gads

Wednesday 26 June 2013

Phir aankhain khol deti hun wo jab izhaar karta ha




"Nigahon k tasadum se ajab takraar karta hai..."

"Yaqin kaamil nahi Lekin gumaan hai Pyar karta hai..."



"Laraz jati hun Mein ye soch k kafir na ho jaon..."
"Tabiyat Us ki pooja pe bara israar karti hai..."

"Usay maloom hai shayad mera Dil hai nishanay par..."
"Labon se kuch nahi kehta nazar se waar karta hai..." 

"Mein Us se pochti hun khuwab mein, Mujh se Mohabbat hai...?"
"Phir aankhain khol deti hun wo jab izhaar karta ha"

No comments:

Post a Comment