Sarr-e-Rah Kuch Bhi Kaha Nahi, Kabhi Us Kay Ghar Main Gya Nahi
Main Janam Janam Say Usi Ka Hoon Usay Aaj Tak Ye Pata Nahi
Usey Paak Nazron Sey Choomna Bhi Ebaadaton Min Shumaar Hay
Koi Phool Laakh Kareeb Ho, Kabhi Main Nay Us Ko Chuaa Nahi
Yeh KHUDA Ki Dain Ajeeb Hay, Keh Usi Ka Naam Naseeb Hay
Jisey Tum Nay Chaha Mil Gya, Jisey Main Nay Chaha Mila Nahi
Isi Shaher Main Kaii Saal Say, Meray Kuch Kareebi Azeez Hain
Unhain Meri Koii Khaber Nahin, Mujhay Un Ka Koii Pata Nahi
No comments:
Post a Comment