Udaas Tehreer Parh K Meri, Meray Sanam Muskura Na Daina
Ye Akhri Khat Main Likh Rahi Hun, Khayal Karna Jala Na Daina
Guzar Rahi Hy Tumhari Kaise Bichhar K Humsay Rula K Humko
Haqeeton Ko Zaroor Likhna Anaa Ki Khaatir Chupa Na Daina
Koi Jo Poochay Kidhar Gya Wo? Jo Teri Mehfil Ka Tha Sahara
Jo Furqaton Ka Sabab Baney They, Kisi Bashar Ko Bata Na Daina
Main Marr Bhi Jaon To Muskurana Ehsas-e-Gham Ki Na Chott Khaana
Jo Qarb-e-Gham Se Nigah’en Bheeg’en Tou Rukh Se Aanchal Hota Na Daina
Lahu Se Tehreer Kar Rahi Hoon Main Apni Saari Kahani ‘’
Jo Phaar Bhi Do Tou Paas Rakhna Hawa Main Tukray Ura Na Daina..
No comments:
Post a Comment