gads

Sunday 7 July 2013

Uski kali ankhon mein

Uski kali ankhon mein hein antar mantar sub k sub

Chaku vaku chhuriyan vuriyan, khanjar vanjar sub k sub

Jis din sy Tum roothy Mujh sy yeh bhi roothy roothy hein

Chadar vadar, takiya shakiya, bistar vistar sub k sub

Mujh sy bichar k wo bhi kahan ab yaro pehly jesa hai

Pheeky parr gaye kapry vapry, zevar shevar sub k sub

Aakhir Main kis din doobon ga, fikrein karty rehty hein

Yeh darya varya, kashti vashti, langar vangar sub k sub

Dukh k chaman k baasi hein yeh, dard shehar k baani sub

Yeh mohsin wohsin, Ghalib shalib, Saghar vaghar sub k sub!

No comments:

Post a Comment