gads

Saturday, 15 February 2014

Apnaa Khayal Rakhnaa


Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Us Ne Kaha Tha Mujh Se"Apna Khayal Rakhna",
Ye Bhi Kaha Tha Us Ne''Har Khwab Aarzee" Hay,
Tum Bhi Zehan Mein Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed ''Kuch Na Bata Sakou Main",
Mere Saamne Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Wo hans K Keh Raha Tha"Gham Bhi Tumhen Milen Gey",
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Har Baat Ka Taqaaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Us ka Haq Nahi Tha "Mera Khayal Rakhna''Meri Khushi Ki Khatir Khud Ko Sanbhaal Rakhna,
Us Ne Kaha Tha Mujh Se"Apna Khayal Rakhna",
Ye Bhi Kaha Tha Us Ne''Har Khwab Aarzee" Hay,
Tum Bhi Zehan Mein Apne Hurf-E-Zawaal Rakhna,
Wo Keh Raha Tha Shayed ''Kuch Na Bata Sakou Main",
Mere Saamne Na Tum Bhi Koi Sawal Rakhna,
Wo hans K Keh Raha Tha"Gham Bhi Tumhen Milen Gey",
Lekin Na Hosla Tum Apna Nidhaal Rakhna,
Har Baat Ka Taqaaza Mujh Se Jo Kar Raha Tha,
Kya Us ka Haq Nahi Tha "Mera Khayal Rakhna''

No comments:

Post a Comment